Ahmad Shanas

dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha

Ahmad Shanas

dasht-e-ummīd meñ ḳhvāboñ kā safar karnā thā
tū ki ik lamha-e-nāpaid basar karnā thā
ham ne kyuuñ aapsī azdād ke nukte DhūñDe?
ham ne to ḳhud ko baham shīr-o-shakar karnā thā
naqsh bantā hī nahīñ sañg-e-samā.at pe koī
kund alfāz ko phir tīr-o-tabar karnā thā
sā.at-e-dard ki be-chehra o be-nām rahī
qatra-e-ashk ki mahfūz guhar karnā thā
tishnagī māhī-e-be-āb sī likh hoñToñ par
varna yuuñ bosa-e-sāġhar se hazar karnā thā
mujh pe aayat na koī lafz hī utrā 'ahmad'
merī mushkil ki bayāñ mujh ko safar karnā thā
Top Urdushayar.com