Ahmad Shanas

main fath-e-zat manzar tak na pahuncha

Ahmad Shanas

maiñ fat.h-e-zāt manzar tak na pahuñchā
mirā tesha mire sar tak na pahuñchā
use memār likkhā bastiyoñ ne
ki jo pahle hī patthar tak na pahuñchā
tijārat dil kī dhaḌkan gin rahī hai
ta.alluq lutf-e-manzar tak na pahuñchā
shagufta gaal tīkhe ḳhat kā mausam
dobāra naḳhl-e-paikar tak na pahuñchā
bahut chhoTā safar thā zindagī kā
maiñ apne ghar ke andar tak na pahuñchā
ye kaisā pyaas kā mausam hai 'ahmad'
samundar dīda-e-tar tak na pahuñchā
Top Urdushayar.com