mohabbatoñ ko kahīñ aur paal kar dekho
matā-e-jāñ ko badan se nikāl kar dekho
badal ke dekho kabhī nisbatoñ kī duniyā ko
badan ko ruuh ke ḳhāne meñ Daal kar dekho
suno use to samā.at se māvarā ho kar
jo dekhnā ho to āñkheñ nikāl kar dekho
yaqīn dasht se phūTegā āb-e-jū kī tarah
ki harf-e-''lā'' kī gavāhī bahāl kar dekho
nafas nafas hai yahāñ maqbara aqīdat kā
ye maqbaroñ kā jahāñ pā.emāl kar dekho
isī havā meñ mohabbat kā diip jaltā hai
isī jahāñ ko jahān-e-visāl kar dekho
vo sañg de to harārat nichoḌ lo apnī
jo phuul de to nigāh-e-kamāl kar dekho
phir us ke ba.ad koī Dar nahīñ talātum kā
us ek buuñd ke ġham ko vishāl kar dekho
badan kī pyaas bhī ik māvarā kahānī hai
har ek buuñd ko dariyā ḳhayāl kar dekho
palaT ke ā.eñge sāvan ke rañg ā.ankhoñ meñ
tum apne-āp se rishta bahāl kar dekho
vo boltā hai pahāḌoñ kī oT se aksar
kisī pahāḌ se us kā savāl kar dekho
ye raaz aur kahāñ tak hameñ nibhānā hai
kabhī to raat meñ sūraj nikāl kar dekho
tum apne gauhar-e-yaktā ko is tarah DhūñDo
ki ḳhud ko be-sar-o-sāmāñ ḳhayāl kar dekho
jo dekhnā ho kabhī dostoñ kā dil 'ahmad'
khare usuul kā pattā uchhāl kar dekho