jism ke bayābāñ meñ dard kī duā māñgeñ
phir kisī musāfir se raushnī zarā māñgeñ
kho ga.e kitāboñ meñ titliyoñ ke bāl-o-par
soch meñ haiñ ab bachche kyā chhupā.eñ kyā māñgeñ
za.afrānī khetoñ meñ ab makān ugte haiñ
kis tarah zamīnoñ se dil kā rābta māñgeñ
ham bhī ho ga.e shāmil masnūī tijārat meñ
ham ki chehra-sāmāñ the ab ke aa.inā māñgeñ
varna ilm nāmoñ kā uTh na jaa.e dhartī se
aadmī phale-phūle aao ye duā māñgeñ
is se peshtar ki ye raat muuñd le āñkheñ
nanhe-munne jugnū se raushnī zarā māñgeñ
vo sadā.eñ detā hai āḳhirī jazīre se
aur ham nigāhoñ kā husn-e-ibtidā māñgeñ
kis ke sāmne rakhiye khol kar razā apnī
aur kis se jaadū kā boltā diyā māñgeñ