bas ik jahān-e-tahayyur se aane vaalā hai
vo ajnabī mujhe apnā banāne vaalā hai
gulāb sañg kī sūrat dikhāne vaalā hai
kahāñ kahāñ vo mujhe āzmāne vaalā hai
koī to dekhne vaalā hai merī āñkhoñ se
koī to hai jo tamāsha dikhāne vaalā hai
ye chāñd aur sitāre to ik bahāna haiñ
kuchh aur hai jo yahāñ jagmagāne vaalā hai
har ek jism yahāñ ruuh kī alāmat hai
ye regzār bhī naġhma sunāne vaalā hai
bas ik savāl kī taḳhlīq hai bashar jaise
kahāñ se aayā hai kis or jaane vaalā hai
use ḳhabar hai kahāñ raushnī kā māḳhaz hai
vo tīrgī meñ diloñ ko jalāne vaalā hai
amiir us kī amānat uThā nahīñ saktā
faqīr asal meñ us kā ḳhazāne vaalā hai
vo ek pyaas kā lamha jo mere andar hai
kabhī kabhī to samundar luTāne vaalā hai
vo ḳhāksār ko detā hai phuul hisse meñ
vo sang-zār meñ dariyā bahāne vaalā hai
bahut aziiz hai zer-o-zabar kā khel use
bujhā bujhā ke tamannā jagāne vaalā hai
vo ek gauhar-e-yaktā hai mere sāgar meñ
vo ek ashk ki āñkhoñ meñ aane vaalā hai
samar ko bāñdh ke rakhtā hai vo daraḳhtoñ par
jo pak gayā use nīche girāne vaalā hai
vo apne aap hī ghar lauT aa.egā 'ahmad'
kisī ko kaun hamesha bulāne vaalā hai