haiñ kashmakash meñ aaj tirī dāstāñ se ham
ai dil shurūa kareñ ye hikāyat kahāñ se ham
terā ḳhulūs terī mohabbat tirī nazar
kis tarah chhīn laa.eñ mah-o-kahkashāñ se ham
nāzāñ hai koī apne taġhāful pe marhabā
majbūr ho rahe dil-e-nāz-dāñ se ham
josh-e-junūñ ne thaam liyā hai ḳhulūs hai
guzre qadam qadam pe na.e imtihāñ se ham
qaht-e-vafā meñ valvala-e-jāñ fanā huā
kyā bad-gumāñ haiñ aaj kisī rāzdāñ se ham
ye to ḳhizāñ-nasīb bahāroñ se pūchhiye
vābasta-e-ḳhulūs rahe gulistāñ se ham
mahsūs ho rahā hai ki manzil qarīb hai
kuchh duur jā chuke haiñ fazā-e-jahāñ se ham
uf vus.at-e-nigāh-e-taḳhayyul na pūchhiye
so āsmāñ-buland haiñ is āsmāñ se ham
ye dāstān-e-ġham hī matā-e-'azīz' hai
duniyā basā rahe haiñ ġham-e-jāvedāñ se ham