ye vaqt raushnī kā muḳhtasar hai
abhī sūraj tulū-e-muntazar hai
shahādat lafz kī dushvār-tar hai
kitāboñ meñ bahut zer-o-zabar hai
abhī khulne ko hai dar āsmāñ kā
abhī iz.hār kā pyāsā bashar hai
ye duniyā ek lamhe kā tamāsha
na jaane dūsrā lamha kidhar hai
jo dekhā hai vo sab kuchh hai hamārā
jo an-dekhā hai vo ummīd bhar hai
maiñ ḳhud ḳhāshāk-e-girvīda huuñ varna
mire hāthoñ meñ tinkā shaah par hai
phir is ke ba.ad bas hairāniyāñ haiñ
ḳhabar vaalā bhī ḳhāsā be-ḳhabar hai
mirā na.ara hai jañgal aag jaisā
mirā kalma shikasta bāl-o-par hai
zabāñ merī siyāsat chāTtī hai
ki is kā zā.iqa shīr-o-shakar hai
ye andhī pyaas kā mausam hai 'ahmad'
samundar raushnī kā be-asar hai