yahāñ har lafz ma.anī se judā hai
haqīqat zindagī se māvarā hai
abhī chehre kā ḳhāka ban rahā hai
abhī kuchh aur bhī mere sivā hai
hameñ jo kuchh milā nāqis milā hai
magar ḳhush-fahmiyoñ kī intihā hai
koī chehra nahīñ ḳhushbū kā lekin
tamāshā phuul vāloñ kā lagā hai
maiñ us kī bārishoñ kā muntazir huuñ
vo mujh se mere aañsū māñgtā hai
yahī baa.is hai merī tishnagī kā
samundar mujh se paanī māñgtā hai
jahālat rog thā jo dil ke andar
vahī maz.hab hamārā ho gayā hai
muqaddas ho gayā hai jhuuT merā
mujhe to ab usī kā aasrā hai
maiñ pyāsā huuñ purāne mausamoñ kā
magar ab vo zamāna jā chukā hai
kahānī barg-e-sozāñ se ibārat
vagarna bahr-o-bar bhī hāshiya hai
nahīñ hai ḳhvāb sī tasvīr jis kī
to phir us ḳhvāb kī ta.abīr kyā hai
gumāñ hañgāma-ārā.ī kā aadī
yaqīñ tanhā.iyoñ meñ boltā hai
ye duniyā be-ḳhabar logoñ kī 'ahmad'
vo duniyā kā nahīñ jo jāntā hai