imroz kī kashtī ko Dubone ke liye huuñ
kal aur kisī rañg meñ hone ke liye huuñ
tū bhī hai faqat apnī shahādat kā talabgār
maiñ bhī to isī dard meñ rone ke liye huuñ
jiine kā taqāzā mujhe marne nahīñ detā
mar kar bhī samajhtā huuñ ki hone ke liye huuñ
hāthoñ meñ mire chāñd bhī lagtā hai khilaunā
ḳhvāboñ meñ falak rañg samone ke liye huuñ
har baar ye shīshe kā badan TuuT gayā hai
har baar na.e ek khilaune ke liye huuñ
pardes kī rātoñ meñ bahut jaag chukā maiñ
ab ghar kā sukūñ oḌh ke sone ke liye huuñ
siine meñ koī zaḳhm ki khulne ke liye hai
ā.ankhoñ meñ koī ashk ki rone ke liye huuñ
saada sī koī baat nahīñ bhuuk shikam kī
īmān bhī roTī meñ samone ke liye huuñ
vo dasht-o-bayābān meñ iz.hār kā ḳhvāhāñ
maiñ apne chaman-zār meñ rone ke liye huuñ
ġhāroñ kā safar hai ki mukammal nahīñ hotā
maiñ apnī ḳhabar aap hī Dhone ke liye huuñ
sūraj ko nikalne meñ zarā der hai 'ahmad'
phir zaat kā har rañg maiñ khone ke liye huuñ