mirī ā.ankhoñ meñ aa dil meñ utar paivand-e-jāñ ho jā
maiñ benām-o-nishāñ huuñ tū mirā nām-o-nishāñ ho jā
kabhī to āḳhir-e-shab phuul sā khil mere āñgan meñ
kabhī mere navāh-e-jism meñ ḳhushbū-e-jāñ ho jā
tū mere dasht-e-harf-o-saut ko barg-e-ḳhamoshī de
tū merī aañkh meñ gum-gashta-e-hairat-nishāñ ho jā
magar ye zaat kā ban-bās kab tak bhognā hogā
kisī parbat ke pīchhe se bulā, kuchh mehrbāñ ho jā
mirī rātoñ ko qatra qatra shabnam bāñTne vaale
kabhī mānind-e-dariyā merī ā.ankhoñ se ravāñ ho jā
vo dekho kahkashāñ sā ik jazīra muntazir apnā
mujhe nayyā banā apnī tū merā bādbāñ ho jā