Aziz Badayuni

dil-e-betab ko bahla chuki hun

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
dil-e-betāb ko bahlā chukī huuñ
sitāre āsmāñ se lā chukī huuñ
nigāh-e-kahkashāñ se pūchh lenā
shuā-e-zindagānī pā chukī huuñ
ḳhirad kī tañg vaadī se nikal kar
junūñ kī manzilat apnā chukī huuñ
añdheroñ meñ charāġhāñ karne vaalo
ujāloñ meñ añdherā pā chukī huuñ
zamīñ kī pastiyoñ ko kyuuñ gila hai
jinheñ maiñ āsmāñ batlā chukī huuñ
jahāñ par aql ruk jaatī hai aksar
tasavvur meñ vahāñ tak jā chukī huuñ
tire kirdār meñ muzmar hai azmat
tujhe ai zindagī samjhā chukī huuñ
mohabbat sirf rūhānī kashish hai
ġham-e-hastī tujhe apnā chukī huuñ
shu.ūr-e-zīst nā-mumkin nahīñ hai
nigāh maut ko sharmā chukī huuñ
azīzo bā-vafā fazl-e-ḳhudā se
maqām-e-bandagī apnā chukī huuñ
Top Urdushayar.com