husn kī bevafā.iyāñ tauba
ishq kī sar-girāniyāñ tauba
muzmahil qalb muntashir īmāñ
muztarib naujavāniyāñ tauba
hai ra.ūnat kā ā.īna shashdar
uf tirī ḳhud-numā.īyāñ tauba
ek be-nām sī ḳhalish shāyad
aur ḳhirad kī gavāhiyāñ tauba
rāste haiñ junūñ ke miltī haiñ
ūñchī nīchī sī khā.iyāñ tauba
lab-e-kashmīr par machaltī haiñ
kuchh sulagtī kahāniyāñ tauba
ajnabī rah-guzar meñ bikhrī haiñ
zindagī kī nishāniyāñ tauba
āñdhiyoñ meñ charāġh raushan haiñ
aql kī mehrbāniyāñ tauba
vo mahakte hue ḳhayāl mire
vo tirī bad-gumāniyāñ tauba
aarzū kā 'azīz' tāj-mahal
zindagī kī tabāhiyāñ tauba