qalb-e-hastī-e-figār dekh liyā
aarzū kā mazār dekh liyā
hosh gum ho ga.e zamāne ke
zindagī kā ḳhumār dekh liyā
lab-kushā yuuñ huā koī ġhuncha
jaise ik ābshār dekh liyā
phir koī baar baar kyuuñ dekhe
jab tujhe ek baar dekh liyā
dāman-e-sabr taar taar huā
aap kā intizār dekh liyā
zindagī bhī hameñ 'azīz' nahīñ
aarzū kā mazār dekh liyā