Ateeq Allahabadi

chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut

Ateeq Allahabadi

chand lamhoñ ko sahī thā saath meñ rahnā bahut
ek bas tere na hone se hai sannāTā bahut
zabt kā sūraj bhī āḳhir shaam ko Dhal hī gayā
ġham kā bādal ban ke aañsū raat bhar barsā bahut
dushmanoñ ko koī bhī mauqā na milne pā.egā
dostoñ ne hī mire baare meñ hai likkhā bahut
maiñ kharā utrā nahīñ tere taqāze par kabhī
zindagī ai zindagī tujh se huuñ sharminda bahut
bas anā ke bojh ne nazreñ mirī uThne na diiñ
us kī jānib dekhne ko jī mirā chāhā bahut
maiñ ne pūchhā ye batā mujh se bichhaḌne kā tujhe
kuchh qalaq hotā hai kyā us ne kahā thoḌā bahut
ghar hamārā phūñk kar kal ik paḌosī ai 'atīq'
do ghaḌī to hañs liyā phir baad meñ royā bahut
Top Urdushayar.com