ishq se ishq ke anjām kī bāteñ hoñgī
sub.h tak aap kī phir shaam se bāteñ hoñgī
duur manzil hai havā.eñ bhī muḳhālif sī haiñ
do ghaḌī baiTho to ārām se bāteñ hoñgī
jis tarah hotī hai rindoñ kī ḳharābāt se baat
is tarah gardish-e-ayyām se bāteñ hoñgī
sāqiyā ab to ināyat kī nazar ho jaa.e
kab talak mujh se tahī-jām kī bāteñ hoñgī
naaz karte haiñ agar apne ḳhad-o-ḳhāl pe ye
aap ke husn kī asnām se bāteñ hoñgī
inqalāb aa.e to phir himmat-e-mardāñ kī qasam
vaqt kī vaqt ke ahkām se bāteñ hoñgī
aao kuchh hausla-e-dil se bhī leñ kaam ai 'nūr'
kab tak ab hasrat-e-nākām se bāteñ hoñgī