pā-shikastoñ ko jab jab mileñge aap
sar-e-rāh-e-talab mileñge aap
un se pūchā ki kab mileñge aap
bole jab jāñ-ba-lab mileñge aap
dil ye kah kar ḳhabar ko us kī chalā
mujh ko zinda na ab mileñge aap
arsa-e-hashr īd-gāh huā
sab se mil leñge jab mileñge aap
vasl meñ bhī jabīñ pe hogī shikan
toḌne ko ġhazab mileñge aap
be-ḳhudoñ ko talāsh se kyā kaam
har jagah be-talab mileñge aap
chhoḌ dī ruḳh pe zulf samjhe ham
chhup ke ek aadh shab mileñge aap
chheḌ mutrib tarāna-e-shab-e-vasl
sāz-e-aish-o-tarab mileñge aap
yaar jab mil gayā to ham se 'jalāl'
jo na milte the sab mileñge aap