Noor Mohammad Noor

hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai

Noor Mohammad Noor

Moradabad, Uttar pradesh, India

1930
hamārā ashk nahīñ hai ye qadr-e-gauhar hai
shikast zabt na kahiye use ye jauhar hai
usī ne dho.e haiñ dāman ke daaġh ai hamdam
usī kā aaj bhī patthar ke dil meñ kuchh Dar hai
hadīs-e-ranj-o-alam se Darā na ai nāseh
hadīs-e-ranj-o-alam hī to aaj ghar ghar hai
ḳhudāyā is se zyāda huā to kyā hogā
nizām-e-zīst bahut āj-kal mukaddar hai
sar-e-niyāz kī jis ko sadā talāsh rahī
agar mile jo muqaddar se aap kā dar hai
tumhāre jalve pe mauqūf hai nizām-e-hayāt
agarche tuur kā qissa mujhe bhī azbar hai
fareb khā ke bhī va.adoñ pe e.atibār ai 'nūr'
ajab shu.ūr-e-vafā terā mere dilbar hai
Top Urdushayar.com