Jalal Lakhnavi

subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
sub.h ho shaam judā.ī kī ye mumkin hī nahīñ
hijr kī raat vo hai jis ke liye din hī nahīñ
sub.h karnā shab-e-ġham kā kabhī mumkin hī nahīñ
aa ke din pher de apne vo koī din hī nahīñ
dil-e-be-tāb mohabbat ko ho kis tarah sukūñ
donoñ harfoñ meñ jab us ke koī sākin hī nahīñ
kyā mazammat hai mujhe sub.h-e-shab-e-hijr un se
jin se kahtā thā ki bachnā mirā mumkin hī nahīñ
shab-e-furqat use maut aa ga.ī mere badle
de azaañ sub.h kī kaun aaj mo.azzin hī nahīñ
bistar-e-ġham se uThā kar ye biThātā hai hameñ
koī juz dard-e-jigar aur muāvin hī nahīñ
raah chalte bhī ye pūchheñ ki kidhar aa nikle
jaise ham kūcha-e-mahbūb ke sākin hī nahīñ
yād-e-gesū ne dikhāyā hai vo aalam ham ko
raat rahtī hai jahāñ aaTh pahar din hī nahīñ
banda-e-ishq haiñ īmān kī kahte haiñ 'jalāl'
ham ko kāfir jo samajhtā hai vo momin hī nahīñ
Top Urdushayar.com