Jalal Lakhnavi

jaane wala iztirab-e-dil nahin

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
jaane vaalā iztirāb-e-dil nahīñ
ye taḌap taskīn ke qābil nahīñ
jaan de denā to kuchh mushkil nahīñ
jaan kā ḳhvāhāñ magar ai dil nahīñ
tujh se ḳhush-chashm aur bhī dekhe magar
ye nigah ye putliyāñ ye til nahīñ
rahte haiñ be-ḳhud jo tere ishq meñ
vo bahut hoshyār haiñ ġhāfil nahīñ
jo na siske vo tirā kushta hai kab
jo na taḌpe vo tirā bismil nahīñ
hijr meñ dam kā nikalnā hai muhāl
aap aa nikleñ to kuchh mushkil nahīñ
aa.iye hasrat-bhare dil meñ kabhī
kyā ye mahfil aap kī mahfil nahīñ
ham to zāhid marte haiñ us ḳhuld par
jo bahishtoñ meñ tire shāmil nahīñ
vo to vo tasvīr bhī us kī 'jalāl'
kahtī hai tum baat ke qābil nahīñ
Top Urdushayar.com