Jalal Lakhnavi

kyun wasl mein bhi aankh milai nahin jati

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
kyuuñ vasl meñ bhī aañkh milā.ī nahīñ jaatī
vo farq diloñ kā vo judā.ī nahīñ jaatī
kyā dhuum bhī nāloñ se machā.ī nahīñ jaatī
sotī huī taqdīr jagā.ī nahīñ jaatī
kuchh shikva na karte na bigaḌtā vo shab-e-vasl
ab ham se koī baat banā.ī nahīñ jaatī
dekho to zarā ḳhaak meñ ham milte haiñ kyūñkar
ye nīchī nigah ab bhī uThā.ī nahīñ jaatī
kahtī hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge
māñgā karo tum maut abhī aa.ī nahīñ jaatī
vo ham se mukaddar haiñ to ham un se mukaddar
kah dete haiñ saaf apnī safā.ī nahīñ jaatī
ham sulh bhī kar leñ to chalī jaatī hai un meñ
bāham dil o dilbar kī laḌā.ī nahīñ jaatī
ḳhud dil meñ chale aaoge jab qasd karoge
ye raah batāne se batā.ī nahīñ jaatī
chhuptī hai 'jalāl' āñkhoñ meñ kab hasrat-e-dīdār
sau parde agar hoñ to chhupā.ī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com