Jalal Lakhnavi

yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
yaad aa ke tirī hijr meñ samjhā.egī kis ko
dil hī nahīñ siine meñ to bahlā.egī kis ko
dam khiñchtā hai kyuuñ aaj ye rag rag se hamārā
kyā jaane idhar dil kī kashish lā.egī kis ko
uThne hī nahīñ detī hai jab yaas biThā kar
phir shauq kī himmat kahīñ le jā.egī kis ko
jab maar hī Daalā hameñ be-tābi-e-dil ne
karvaT shab-e-furqat meñ badalvā.egī kis ko
mar jā.eñge be-maut ġham-e-hijr ke maare
aa.egī to ab zinda ajal pā.egī kis ko
achchhā rahe tasvīr kisī kī mire dil par
kam-baḳht na Thahregā to Thahrā.egī kis ko
kuchh baiTh gayā dil hī yahāñ baiTh ke apnā
ġhairat tirī mahfil se ab uThvā.egī kis ko
is va.ada-ḳhilāfī ne agar jaan hī le lī
phir jhūTī tasallī tirī taḌpā.egī kis ko
kyuuñ leñge 'jalāl' aa ke mire dil meñ vo chuTkī
jhapkegī palak kaahe ko niiñd aa.egī kis ko
Top Urdushayar.com