Jalal Lakhnavi

jafa ki us se shikayat zara nahin aati

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
jafā kī us se shikāyat zarā nahīñ aatī
vo yaad hī hameñ shukr-e-ḳhudā nahīñ aatī
nikal ke tā-ba-lab āh-e-rasā nahīñ aatī
karāhtā hai jo ab dil sadā nahīñ aatī
hamārī ḳhaak kī miTTī hai kyā ḳharāb ai charḳh
kabhī idhar ko udhar kī havā nahīñ aatī
shab-e-visāl kahāñ ḳhvāb-e-nāz kā mauqa.a
tumhārī niiñd ko aate hayā nahīñ aatī
adū hamārī ayādat ko le ke aa.e unheñ
kahāñ ye mar rahī ab bhī qazā nahīñ aatī
lahad pe aa.e the do phuul bhī chaḌhā jaate
abhī tak aap meñ bū-e-vafā nahīñ aatī
mirī lahad ko vo un kā ye kah kar Thukrānā
sadā-e-nāra-e-sad-marhabā nahīñ aatī
sitam hai aur mire dil-shikan kā ye kahnā
shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā nahīñ aatī
'jalāl' ham ye na māneñge tū use nahīñ yaad
tujhe kabhī koī hichkī bhī kyā nahīñ aatī
Top Urdushayar.com