Jalal Lakhnavi

meri shaki hai KHud meri fughan tak

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
mirī shākī hai ḳhud merī fuġhāñ tak
ki taalū se nahīñ lagtī zabāñ tak
koī hasrat hī le aa.e manā kar
mire rūThe hue dil ko yahāñ tak
jagah kyā dard kī bhī chhīn legā
jigar kā daaġh phailegā kahāñ tak
asar nāloñ meñ jo thā vo bhī khoyā
bahut pachhtā.e jā kar āsmāñ tak
falak tere jigar ke daaġh haiñ ham
miTā.e jā miTānā hai jahāñ tak
vo kyā pahlū meñ baiThe uTh ga.e kyā
na liiñ jaldī meñ do ik chuTkiyāñ tak
koī māñge to aa kar muntazir hai
liye thoḌī sī jaan ik nīm-jāñ tak
uThāne se ajal ke maiñ na uThtā
vo aate to kabhī mujh nā-tavāñ tak
'jalāl'-e-nāla-kash chupkā na hogā
vo de kar dekh leñ muñh meñ zabāñ tak
Top Urdushayar.com