Jalal Lakhnavi

be-bak na dekha koi qatil ke barabar

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
be-bāk na dekhā koī qātil ke barābar
sharm aañkh meñ paa.ī na ga.ī til ke barābar
dushman koī ai yaar mirā aur tirā dost
hogā na zamāne meñ mire dil ke barābar
dil muttasil-e-kūcha-e-mahbūb huā gum
luTnā thā pahuñch kar mujhe manzil ke barābar
kam-baḳhtī-e-vā.iz hai ki ho va.az kī sohbat
rindān-e-qadah-nosh kī mahfil ke barābar
ham pī ga.e jo ashk qarīb-e-mizha aayā
kashtī huī jab ġharq to sāhil ke barābar
aahoñ ke sharar gard nahīñ dāġh-e-jigar ke
tābinda haiñ aḳhtar mah-e-kāmil ke barābar
parda na uThā qais ne lailā ko na dekhā
jhoñkā bhī na aayā koī mahmil ke barābar
maqtal meñ ye hasrat rahī ai zo.af pas-e-zab.h
pahuñche na taḌap kar kisī bismil ke barābar
ghar tak dar-e-jānāñ se 'jalāl' aa.iye kyuuñ kar
ek ek qadam hai ka.ī manzil ke barābar
Top Urdushayar.com