Jalal Lakhnavi

ai musawwir jo meri taswir khinch

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
ai musavvir jo mirī tasvīr khīñch
hasrat-āgīñ ġham-zada dil-gīr khīñch
jazb bhī kuchh ai tasavvur chāhiye
ḳhud khiñche jis shoḳh kī tasvīr khīñch
ai mohabbat dāġh-e-dil murjhā na jaa.eñ
itr in phūloñ kā be-tāḳhīr khīñch
aa butoñ meñ dekh zāhid shān-e-haq
dair meñ chal nāra-e-takbīr khīñch
ek sāġhar pī ke būḌhā ho javān
vo sharāb ai mai-kade ke pair khīñch
dil na us but kā dukhe kahtā hai ishq
khīñch jo naala vo be-tāsīr khīñch
dil idhar betāb hai tarkash udhar
khīñchtā huuñ aah maiñ tū tiir khīñch
kuchh to kaam aa hijr meñ o iztirāb
shoḳhī-e-mahbūb kī tasvīr khīñch
qais se dasht-e-junūñ meñ kah 'jalāl'
aage aage chal mire zanjīr khīñch
Top Urdushayar.com