Jalal Lakhnavi

sad-shukr bujh gai teri talwar ki hawas

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
sad-shukr bujh ga.ī tirī talvār kī havas
qātil yahī thī tere gunahgār kī havas
murde ko bhī mazār meñ lene na degī chain
tā-hashr tere sāya-e-dīvār kī havas
sau baar aa.e ġhash arinī hī kahūñgā maiñ
muusā nahīñ ki phir ho na dīdār kī havas
rizvāñ kahāñ ye ḳhuld o iram aur maiñ kahāñ
aa.e the le ke kūcha-e-dildār kī havas
sayyād jab qafas se nikālā thā bahr-e-zab.h
pūchhī to hotī murġh-e-giraftār kī havas
yūsuf ko terī chaah ke saude kī aarzū
iisā ko tere ishq ke āzār kī havas
dast-e-havā-e-gul meñ garebān hai mirā
dāman junūñ meñ khīñchtī hai ḳhaar kī havas
jab ho kisī kā rishta-e-ulfat gale kā tauq
dīvāna-pan hai sub.ha-o-zunnār kī havas
maan.e hai zabt charḳh phuñke kyūñkar ai 'jalāl'
kis tarah nikle āh-e-sharar-bār kī havas
Top Urdushayar.com