maqtal meñ apnī maut kā armāñ liye hue
ham jā rahe haiñ ziist kā sāmāñ liye hue
aatā hai koī dard kā darmāñ liye hue
ai baḳht jaag gardish-e-daurāñ liye hue
ai vaqt aaj phir se inheñ tār-tār kar
baiThe haiñ ham bhī jaib-o-garebāñ liye hue
nikle haiñ ashk zabt ke dāman ko chiir kar
pahlū meñ apne shorish-e-tūfāñ liye hue
bujh jaa.eñ phir na gor-e-ġharībāñ ke ye charāġh
ḳhauf-e-havā se haiñ tah-e-dāmāñ liye hue
jaatā hai kyā harīf sū-e-kū-e-dost phir
dām-e-havas meñ dāna-e-pinhāñ liye hue
ḳhā lī shikast fat.h-e-mubīñ ke yaqīn se
haañ 'nūr' ab ke himmat-e-mardāñ liye hue