Jalal Lakhnavi

muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar

Jalal Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1832-1909
muddat ke ba.ad muñh se lagī hai jo chhūT kar
to ye bhī mai pe girtī hai kyā TuuT TuuT kar
mehñdī thā merā ḳhuun ki hotā jo rā.egāñ
ik shab ke ba.ad haath se qātil ke chhūT kar
pahlā hī din thā ham ko kiye tark-e-mai-kashī
kyā kyā paḌā hai raat ko meñh TuuT TuuT kar
sabr o qarār le ke diyā dāġh-e-ārzū
ābād tum ne dil ko kiyā mujh ko luuT kar
hairat hai mere aḳhtar-e-baḳht-e-siyāh ko
kyuuñ kar gahan se chāñd nikaltā hai chhūT kar
allāh-re āñsuoñ kā khaTaknā firāq meñ
āñkhoñ meñ bhar gayā koī almās kuuT kar
Tapke nahīñ qalam ke faqat ashk naama par
vo kuchh likhā ki roī siyāhī bhī phuuT kar
kar band-o-bast abhī se na gulshan meñ bāġhbāñ
vo din to ho ki murġh-e-qafas aa.eñ chhūT kar
sad-haif sar-guzisht jo apnī kahī 'jalāl'
tū is ko dāstān samajh sach ko jhuuT kar
Top Urdushayar.com