shab-e-va.ada hai tū hai aur maiñ huuñ
hujūm-e-ārzū hai aur maiñ huuñ
dil-e-begāna-ḳhū hai aur maiñ huuñ
baġhal meñ ik adū hai aur maiñ huuñ
miTātā hī rahā jis ko muqaddar
vo merī aarzū hai aur maiñ huuñ
pareshāñ-ḳhātirī kahtī hai apnī
kisī kī justujū hai aur maiñ huuñ
shab-e-tanhā.ī-e-furqat meñ dil se
kuchh us kī guftugū hai aur maiñ huuñ
gulistān-e-jahāñ hai qābil-e-sair
tilism-e-rañg-o-bū hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-lutf-e-dilbar kā hai iz.hār
phaTe dil kā rafū hai aur maiñ huuñ
kahīñ chhoḌā agar qātil kā dāman
tū phir merā lahū hai aur maiñ huuñ
'jalāl' us ko banāyā us ne dushman
qayāmat meñ adū hai aur maiñ huuñ