Noor Mohammad Noor

kya KHabar hijr ki shab ki bhi sahar hoti hai

Noor Mohammad Noor

Moradabad, Uttar pradesh, India

1930
kyā ḳhabar hijr kī shab kī bhī sahar hotī hai
kis tarah dekhiye ye raat basar hotī hai
tere dīvānoñ kī mahfil meñ hai pahchān yahī
reg-e-sahrā se sivā ḳhāk-basar hotī hai
kaam bigḌe hue ban jaate haiñ aksar mere
jab kabhī terī ināyat kī nazar hotī hai
kāTtā huuñ shab-e-furqat isī armān ke saath
Duub jaate haiñ sitāre to sahar hotī hai
zulf-o-zulf jo tūl-e-shab-e-hijrāñ ban jaa.e
chashm vo chashm jo paikān-e-jigar hotī hai
chāñdnī maañd paḌe aisī sabāhat un kī
shakl dekhe to koī rashk-e-qamar hotī hai
rasm-e-ulfat meñ yahī hotā hai aksar ai 'nūr'
Duub jaate haiñ safīne to ḳhabar hotī hai
Top Urdushayar.com