Razzaq Arshad

shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun

Razzaq Arshad

shāyad kabhī aisā ho kuchh film sā kar jā.ūñ
kuchh qatl karūñ chun kar aur ba.ad meñ mar jā.ūñ
maiñ be-sar-o-sāmāñ is bāzār-e-tamaddun meñ
nāmūs buzurgoñ kā nīlām na kar jā.ūñ
duniyā-e-sukūñ-āgīñ phir zer qadam hogī
sāñsoñ ke samundar se bas paar utar jā.ūñ
mumkin hai ki mil jaa.e vo āḳhirī siimā tak
kyā ai dil-e-pazh-murda maiñ us kī Dagar jā.ūñ
ye āḳhirī ḳhvāhish bhī shāyad ki na puurī ho
namnāk hoñ kuchh āñkheñ jab chhoḌ ke ghar jā.ūñ
ehsās dilā jā.ūñ yāroñ kī samā.at ko
jhaTkā sā lage ban kar ik aisī ḳhabar jā.ūñ
har shaḳhs ke hoñToñ par apne hī masā.il haiñ
behtar hai yahī 'arshad' chup-chāp guzar jā.ūñ
Top Urdushayar.com