Razzaq Arshad

har aane wale pal se Dar raha hun

Razzaq Arshad

har aane vaale pal se Dar rahā huuñ
kin andeshoñ meñ ghir kar rah gayā huuñ
kisī pyāsī nadī kī bad-duā huuñ
samundar thā magar sahrā huā huuñ
bas ab anjām kyā hai ye batā do
bahut lambī kahānī ho gayā huuñ
vahī mere liye ab ajnabī haiñ
maiñ jin ke saath sadiyoñ tak rahā huuñ
koī anhonī ho jā.egī jaise
maiñ ab aisī hī bāteñ sochtā huuñ
khaḌī ho maut darvāze pe jaise
maiñ ghar meñ huuñ magar sahmā huā huuñ
abhī kuchh der pahle chup lagī thī
tumheñ hamdard pā kar ro diyā huuñ
maiñ koī shahr huuñ sadiyoñ purānā
hazāroñ baar ujḌā huuñ basā huuñ
mirā ab koī mustaqbil nahīñ hai
maiñ ab maazī meñ apne jī rahā huuñ
mujhe shāyad bhulā paa.e na duniyā
maiñ apne ahd kā ik hādsa huuñ
salāmat huuñ ba-zāhir lekin 'arshad'
maiñ andar se bahut TuuTā huā huuñ
Top Urdushayar.com