Razzaq Arshad

hamare azabon ka kya puchhte hain

Razzaq Arshad

hamāre azāboñ kā kyā pūchhte haiñ
kabhī aap kamre meñ tanhā rahe haiñ
ye tanhā.ī bhī ek hī sāhira hai
miyāñ is kī qudrat meñ sau vasvase haiñ
hue ḳhatm cigarette ab kyā kareñ ham
hai pichhlā pahar raat ke do baje haiñ
chalo chand pal muuñd leñ apnī palkeñ
yuuñ jaise ki ham vāqa.ī so ga.e haiñ
zarā ye bhī socheñ ki rātoñ ko akasr
bhalā kutte galiyoñ meñ kyuuñ bhūñkte haiñ
jhagaḌtī haiñ billoñ se sab billiyāñ kyā
aziyyat meñ lazzat ke pahlū chhupe haiñ
huiiñ ḳhatm 'arshad' tumhārī sazā.eñ
parinde rihā.ī kā dar kholte haiñ
Top Urdushayar.com