duniyā-dārī se nā-vāqif kaisā pāgal laḌkā thā
jab rone kā mauqa hotā tab bhī hañstā rahtā thā
ham se kaisī bhuul huī thī ham ne kyā kyā sochā thā
bilkul mom sā pighlā vo to jo kundan sā lagtā thā
shak ke saa.e phail rahe haiñ bastī vaale hairāñ haiñ
us ne dariyā paar kiyā hai to kyā maTkā pakkā thā
zehn meñ dhuñdlā dhuñdlā sā ik naqsh ubhartā jaatā hai
ham tum ko pahchān rahe haiñ ham ne tum ko dekhā thā
pahle kuchh sochā hī nahīñ thā lekin ab is soch meñ haiñ
mil kar bhī kyā paayā tum se milte nahīñ to achchhā thā
vo jo ik ummīd thī tum se ḳhair use ab chhoḌo tum
tum par kyā ilzām dhareñ ham yuuñ bhī ye to honā thā