kārzār-e-zindagī meñ aise lamhe aa ga.e
azm-e-mohkam rakhne vaale vaqt se ghabrā ga.e
dūsroñ ke vāste jiite rahe marte rahe
ḳhūb-sīrat log the rāz-e-mohabbat pā ga.e
baaġh par bijlī gire yā nazr-e-gulchīñ ho rahe
aah ab sochoñ ke dhāre is nahaj par aa ga.e
is jhulastī dhuup ne āḳhir kahāñ pahuñchā diyā
chhāñv kī ḳhātir pas-e-dīvār-e-zindāñ aa ga.e
vaa.e mahrūmī ki bas ham āsmāñ takte rahe
yuuñ to bādal ghir ke aa.e hasrateñ barsā ga.e
dil kī shādābī kī ḳhātir dil kī taskīñ ke liye
'rizvī'-e-muztar kabhī makka kabhī mathurā ga.e