ik faqat ḳhud se gilā baaqī rahā
varna is dil meñ to kyā baaqī rahā
ik taraf terī kamī khaltī rahī
ik taraf apnā ḳhalā baaqī rahā
raah kī āsāniyāñ jaatī rahīñ
manziloñ kā marhala baaqī rahā
zindagī-dar-zindagī chaltī rahī
mas.ala-dar-mas.ala baaqī rahā
ham had-e-idrāk se majbūr the
ham se jo thā māvarā baaqī rahā
ho raheñge ham bhī us ke ek din
haañ agar dil meñ ḳhudā baaqī rahā
shahr-e-dil ke bā-vafā jab kho ga.e
āḳhirash ik be-vafā baaqī rahā
dil se terī yaad bhī ruḳhsat huī
aur ab kyā mo.ajiza baaqī rahā
ai dil-e-nākām kuchh to kar guzar
yā abhī kuchh sochnā baaqī rahā