hamīñ haiñ jinheñ ishq hai bāñkpan se
hamīñ haiñ jo uljheñ haiñ dār-o-rasan se
kisī jism kā husn hai pairahan se
kahīñ pairahan ḳhud sajā hai badan se
ye maanā hai jannat bahut ḳhūbsūrat
magar ḳhūbsūrat na hogī vatan se
guloñ ne churāyā tirā husn-e-rañgīñ
mo.attar fazā hai tire pairahan se
na tesha na sar kaam aayā vafā meñ
sadā aa rahī hai ye jū-e-laban se
taḌap kar na mar jaa.e bulbul qafas meñ
na le jaa.e gul koī gulchīñ chaman se
raqīboñ se sargarm hai un kī mahfil
faqat 'nūr' hai duur us anjuman se