hai mere sar se koī bojh utārne vaalā
pukārtā hai ye har-dam pukārne vaalā
phirā hai yuuñ vo ruḳh-e-ā.ina-numā mujh se
koī nahīñ merī sūrat sañvārne vaalā
banā huuñ sīna-e-dariyā kā bojh muddat se
koī rahā hī nahīñ paar utārne vaalā
badaltī jaatī hai hālat zamīñ ke chehre kī
ki āsmāñ hai nayā ruup dhārne vaalā
utar kai kārgah-e-fan meñ fat.h-yāb huā
bisāt-e-dahr pe har-ros hārne vaalā
maiñ apne ahd kā sannā-e-shahr huuñ 'zāhid'
mirā qalam hai na.e naqsh ubhārne vaalā