Zahid Farani

gaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr

Zahid Farani

gaaḌī kī khiḌkī se dekhā shab ko us kā shahr
chāroñ or thā kaalā jañgal biich meñ ujlā shahr
yaad na aatā kyuuñ gaañv meñ ham ko bhī lahore
log samundar-pār na paa.eñ is se achchhā shahar
sach hai har ik mulk ḳhudā kā des hai har insāñ kā
lekin apnā shahr hai yaaro āḳhir apnā shahr
ḳhvāb meñ sun kar jaag uThtā huuñ un kī chīḳh-pukār
uf vo laḌte marte baasī uf vo jaltā shahr
poshīda haiñ dil meñ us kī yādoñ ke tūfān
dafn haiñ ek khañDar kī tah meñ kitne zinda shahr
mujh par ik ghanghor udāsī tujh par rañg aur nuur
merā chehra ban hai pyaar se terā chehra shahr
kal kī baat hai aur thakan se ab tak chuur huuñ maiñ
us laḌkī kā jism thā 'zāhid' ūñchā-nīchā shahr
Top Urdushayar.com