sitāre chup haiñ ki naġhma-sarā samundar hai
shab-e-ḳhamosh ke dil kī sadā samundar hai
sukūt-e-lab ko sadāoñ kā pesh-rau samjho
ki rūd-bār ke aage khulā samundar hai
vo dekhtā hai mire iztirāb ko hañs kar
maiñ tez-rau huuñ vo Thahrā huā samundar hai
mah-o-nujūm dikhāte haiñ aa.ina us ko
falak ke sāmne chehra-numā samundar hai
miTā chale haiñ masāfat kā naqsh ahl-e-talab
havā saroñ meñ hai aur zer-e-pā samundar hai
nazar meñ sūrat-e-sāhil abhī nahīñ aa.ī
mire safar kā har ik marhala samundar hai