jahān-e-tañg meñ tanhā huā maiñ
bahut achchhā huā rusvā huā maiñ
mirī āñkhoñ kā pahchānā huā tū
nigāh-e-dahr kā dekhā huā maiñ
ubhar aa.ī havā kī mauj sar meñ
harīf-e-mauja-e-dariyā huā maiñ
jabīn-e-āb kī tahrīr duniyā
hurūf-e-sañg se likkhā huā maiñ
fanā ke haath meñ merī baqā hai
ḳhud apnī ḳhaak se paidā huā maiñ
huī vābasta mujh se tursh-ruī
ki nashsha huuñ magar utrā huā maiñ
chhupā huuñ aaj tak us kī nazar se
zamāne bhar pe ā.īna huā maiñ