usī kī dhun meñ kahīñ naqsh pā gayā hai mirā
jo aa ke ḳhvāb meñ dar khaTkhaTā gayā hai mirā
guzar gayā hai jo pahlū bachā ke mujh se to kyā
nazar jhukā ke vo ghar dekhtā gayā hai mirā
huuñ muztarib tirī gum-gashta aarzū ke liye
dukān-e-dil se dur-e-be-bahā gayā hai mirā
asīr-e-gumbad-e-be-dar paḌā huuñ muddat se
mire hī dil pe vo pahra biThā gayā hai mirā
qadam qadam pe dayār-e-vafā ke raste meñ
mirī zabāñ se fasāna sunā gayā hai mirā
muhīt hai mire dīvār-o-dar pe tanhā.ī
na jaane kaun ise ghar batā gayā hai mirā