kākul kī tarah baḳht bhī bal khaa.e hue hai
kyuuñ aaj muqaddar mujhe uljhā.e hue hai
zanjīr-e-mehan paañv meñ pahnā.e hue hai
yā jalva-e-jānāñ mujhe bahlā.e hue hai
le jaa.e mujhe sū-e-chaman ab na bahārāñ
dil qismat-e-zindāñ kī qasam khaa.e hue hai
maiñ band qafas meñ huuñ magar fikr-e-nasheman
siine meñ jigar dard se barmā.e hue hai
suljhegī na mashshātagī-e-aql-o-ḳhirad se
vo zulf-e-junūñ jis ko ki uljhā.e hue hai
us ko bhī to mil jaa.e zarā husn kā sadqa
dāmāñ talab-e-dar pe jo phailā.e hue hai
ai 'nūr' mujhe kuchh to bharosa hai zabāñ par
kuchh baḳht-e-sa.ādat mujhe garmā.e hue hai