Zahid Farani

KHushk lamhat ke dariya mein baha de mujhko

Zahid Farani

ḳhushk lamhāt ke dariyā meñ bahā de mujh ko
marg-e-ehsās kī suulī pe chaḌhā de mujh ko
kaun aa kar tire insāf kā misdāq bane
be-gunāhī pe agar tū na sazā de mujh ko
ek pal meñ ye mirā rañg uḌā dete haiñ
raas aate nahīñ ḳhush-rañg libāde mujh ko
yuuñ mujhe dekh ke chehra na chhupā hāthoñ se
maiñ tirā jism-e-barahna huuñ qabā de mujh ko
na milī kūcha-o-bāzār meñ DhūñDe se kahīñ
jo nazar naqsh-ba-dīvār banā de mujh ko
tū hayūlā jo nahīñ hai to mire sāmne aa
gumbad-e-dard meñ chhup kar na sadā de mujh ko
Top Urdushayar.com