tīra-o-tār zamīnoñ ke ujāle dariyā
ham ne sahrāoñ ke siine se nikāle dariyā
vādiyāñ aa.eñ to ārām se so jaate haiñ
fāsloñ se na kabhī hārne vaale dariyā
chāhte the ki phireñ rū-e-zamīñ par har sū
ban ga.e raah meñ ġhāroñ ke nivāle dariyā
tujh se chhuTne pe tire dhyān kī āġhosh milī
kar gayā mujh ko samundar ke havāle dariyā
ai zamīñ suukh rahe haiñ tire pyāse jañgal
kyā hue haiñ tirī āġhosh ke paale dariyā
kis tarah dard kā tūfāñ mire siine meñ thame
kis tarah apnī ravānī ko sambhāle dariyā