pahāḌoñ se utartī shaam kī bechārgī dekheñ
daraḳhtoñ par laraz kar bujh rahī haiñ āḳhirī kirneñ
bahut hī sard hai ab ke dayār-e-shauq kā mausam
chalo guzre dinoñ kī raakh meñ chiñgāriyāñ DhūñDeñ
bhalā patthar bhī rote haiñ kabhī shīshe ke zaḳhmoñ par
agar hotā hai aisā to hisāb-e-dostāñ bhūleñ
savād-e-shām meñ DhūñDeñ koī mānūs sā chehra
havā kī rahguzar pe ek nanhā sā diyā rakkheñ
kahāñ alfāz dete haiñ hamārā saath ab 'fikrī'
kahe ash.ār sab be-jāñ huiiñ bekār sab ġhazleñ