saath dariyā ke ham bhī jaa.eñ kyā
zor-lahroñ kā āzmā.eñ kyā
peḌ saare ujaḌ chuke kab ke
shor kartī haiñ phir havā.eñ kyā
kab vo guzregī is ḳharābe se
fasl-e-gul se ye pūchh aa.eñ kiyā
phuul bāġhoñ meñ jab nahīñ khilte
phuul gamloñ meñ ham khilā.eñ kyā
raat jañgal kī shahar meñ aa.ī
ghar charāġhoñ se jagmagā.īñ kyā
jo ḳhudā hai kabhī to soche vo
ek duniyā na.ī banā.īñ kyā
ḳhauf kaisā hai shaam se 'fikrī'
aaj utreñgī phir bulā.eñ kyā