jis kā badan gulāb thā vo yaar bhī nahīñ
ab ke baras bahār ke āsār bhī nahīñ
peḌoñ pe ab bhī chhā.ī haiñ ThanDī udāsiyāñ
imkān jashn-e-rañg kā is baar bhī nahīñ
dariyā ke iltifāt se itnā hī bas huā
tishna nahīñ haiñ hoñT to sarshār bhī nahīñ
rāhoñ ke pech-o-ḳham bhī use dekhne kā shauq
chalne ko tez dhuup meñ tayyār bhī nahīñ
bichhḌe huoñ kī yaad nibhāte haiñ jaan kar
varna kisī ko bhūlnā dushvār bhī nahīñ
jitnā sitam-shi.ār hai ye dil ye apnā dil
utne sitam-shi.ār to aġhyār bhī nahīñ
ahl-e-hunar ke baab meñ us kā bhī zikr ho
'fikrī' ko aisī baat pe isrār bhī nahīñ