Parkash Fikri

aankh patthar ki tarah aks se Khaali hogi

Parkash Fikri

Ambala, Haryana, India

1930-2008
aañkh patthar kī tarah aks se ḳhālī hogī
ḳhūn-e-nāhaq kī magar jism pe laalī hogī
mil ke baiTheñge vahī log adhūre aadhe
phir vahī mez vahī sard piyālī hogī
aise mausam meñ vo chup-chāp nazar jo aayā
us ne ā.ankhoñ meñ koī shakl basā lī hogī
maiñ ne jo chiiz gañvā dī use hiirā kah ke
kisī nādār musāfir ne uThā lī hogī
us ko lafzoñ meñ utārūñ to varaq huuñ raushan
us kī tasvīr banā luuñ to misālī hogī
mil bhī jaa.e mirī ḳhvāhish kā sila jo mujh ko
ruuh apnī vahī majbūr savālī hogī
yaar 'fikrī' ye chamakte hue jugnū rakh le
raat jañgal kī abhī aur bhī kaalī hogī
Top Urdushayar.com