paa.eñ jo raushnī tirī jalva-garī se ham
ho leñ qarīb aur bhī kuchh be-ḳhudī se ham
kar le qubūl-e-husn ke sadqe meñ jān-o-dil
fariyād kar rahe haiñ tirī dilbarī se ham
aisā nasīb merā kahāñ mere ham-zabāñ
kuchh der baat karte jo hañs kar kisī se ham
ai husn mujh ko husn ke sadqe kī bhiik de
phailā.e haath baiThe haiñ kis ājizī se ham
Thukrāo laakh mujh ko tumheñ iḳhtiyār hai
phir bhī na baaz ā.eñge is bandagī se ham